Friday, June 16, 2017

Autorickshaw

Ek to honi chahiye kavita
autoricksha ki shaan mein

hai to bas ek teen ka dabba
khad khad karta bejaunk purzon ka rela
par ek ajab si chalti hui duniya
na darwaaje, na kunde
ek khuli hui si jagah...

plastic ki body uski
kabhi raajniti ka jhanda
to kabhi ishtehaar
election mein prachaar
ya shero shayri ka hathiyar

kabhi madam ki akeli sawari
ya kaamgaar logon ki le zimmedari
ek kone mein pani ki botal, side mein taango safa
seat ke niche khane ka dabba, aur ho gaya apna kabza

baahar ka andar aur andar se baahar
mausam ka maza, ya cigrette ka kash,
nae shahar ke nazraane ya ped ki chhaon must

badi vichitra si baat hai
ek teen ki chhat aur ek khuli si jagah
kuchh seemit.
Aur kitni sambhavnayen